Copyright Policy

Sunday, 16 May 2010

Loadshedding

Din hota hai raat hoti hai
aap se kyun na mulaqat hoti hai
Dhoondte hain kabhi yahan kabhi wahan tak bhi
par na justaju tamam hoti hai

Tamasha dekhti hai zindagi behisi, lachari ka
uunche banglon mein jalte jhoomeron
doobi jhonpadi pe andheri raaton ka
Uthete qehqahon, doobti aahon ka

Aadat daal li bachon ne raasta tatolne ki
Andhere mein zindagi tolne, jeene ki
Kabhi paseene mein doobi kitabein thame hain
kahin khilone andhere mein khoye hain

Ahista ahista dolti, kirahti, sisakti zindagi
ruukhi, pheeki, tadapti, kasakti zindagi
Aisa tau nahi keh chaha chaand ya taaron ko
Maanga tau bas apna noore ashiane hai

Saturday, 1 May 2010

Apna Lamha (2) ................ In continuum from the earlier poem 'Apna Lamha'

Kabhi kuch phoot'te hain roop se
Rang o boo, kuch roshni, chah se
Keh hai seep se koi chalka
Koi dhalka kirnon se
Kabhi phool se hai tapka

Kabhi kuch phoot'te hain dard o nai se
Andheri raat, sooni rehguzar se
Keh hai aankh se koi tapka
Koi gira tanhai ki od se
Kabhi unkahi se hai guzra

Tumhare naam hain yeh sab hi
Hamare pyaam hain yeh sab hi
Jo hai, hai tau apna hi
Jaisa ha, hota tau hai apna hi
Jo hai tau saath hai apne hai

Apna lamha

Aik oas mein piroya, aik chandni se tapka
Aik gira madham madham raat ke pehloo sa
Aik lipta dhoop se, aik chimta kirnon se
Aik chala holay holay dopeheron sa

Aik aaya khushbu jaisa, aik bana roop jaisa
Aik chaya dheema dheema sargam sa
Aik duuba barishon mein, aik phaila rom rom se
Aik bassa madhur madhur saanson sa


Aik tumhare saath jaisa, aik hamari baat jaisa
Aik dadhkanon ke beech lambi umron sa
Aik mein tau tum bhi ho, aik mein tau hum bhi hain
Aik bana puura apna hum jaisa

And I am

I am not one, I am one of many
The flaring eyed gypsy you see whirl past
Who breathes out fire instead of words
The ingénue you see glide down
Who sears with innocence in her smile
The out of reach bird you see fly above
Who is yet tied to roots underneath the earth
The as old as time phoenix you see levitate high
who rises imperceptibly, soundlessly, always


I am not one, I am one of many
No you would not know me
No you cannot see me
No you cannot be me
For I am not one, I am one of many


I am not one, I am one of many
The broken doll you do not see fall by,
For she doesn't need to be fixed
The wizened soul you do not see sitting by,
For she doesn't need to speak
The dancer you do not see limp by
For she doesn't need unbroken heels
The hierophant you do not see walk by
For she doesn't need to be seen

I am not one, I am one of many
No you would not know me
No you cannot see me
No you cannot be me
For I am not one, I am one of many

Liye jaati hai

Liye jaati hai bekhabri, jidhar khabar ki khabar mili hai
Liye jaati hai andheri jidhar roshni ki jhalak mili hai

Hairat nahi, sawal nahi, kashmakash, kaawish bhi nahi
Uthete hain kadam aap jidhar bulawe ki aahat mili hai

Nasha hai aik jo bas bekhudi se aye
Maza hai aik jo bas bemazgi se aye

Na darro- dewaar ki rukawat, na zameen o aasman si haalat
Duube bas ab aise ke pairon taley bhi kuch nahi hai

Suno

Halki si hai yeh baat
Lapait lo
Dheemi, dheemi, dhundli, dhundli
Lapait lo
Lapait lo tun se, mun se, jaan o dil se
Lapait lo
Ke safar karegi tum sung
Lapait lo
Ke hoga safar lamba, shayed ho khatar-e uftad
Lapait lo
Bhikar na paye intiha'i safar se pehle
Lapait lo
Kahin gir na paye beech safar mein
Lapait lo
Aik aas hai yeh meri
Lapait lo
Aik hi hai jaan, aik hi maan
Lapait lo
Sambhaal ke lejao, jo hai sab mera
Lapait lo
Sambhaal ke lejao, jahan hai sab mera
Lapait lo
Chahe halki si hi hai yeh meri baat
Lapait lo






INSPIRED BY:

If one desires a wish to come true, they must first capture a butterfly and whisper that wish to it.

Since a butterfly can make no sound, the butterfly cannot reveal the wish to anyone but the Great Spirit who hears and sees all.

In gratitude for giving the beautiful butterfly its freedom, the Great Spirit shall grant the wish.

Native American Legend

Kuch tau chahiye

Kuch tau chahiye is raakh mein harkat keh liye
Kuch tau chahiye is raakh mein hararat keh liye

Kuch tau chahiye is raakh mein jo tera ho
Kuch tau chahiye is raakh mein jo tere jaisa ho

Chahe ho ik junbish hi sahi
Saaya ho ya aadha toota lamha hi sahi

Ho ik lafz hawa mein udta phirta
Ya ho muskurahat kuch kheenchi, bikhri

Kuch tau hai jo tanhai mein phir boley ga
Kuch tau hai jo saath kuch nibha jaega

Kuch tau hai jo kuch kuch tau mera hai
kuch tau hai jo kuch tera par bas mera hai