Din hota hai raat hoti hai
aap se kyun na mulaqat hoti hai
Dhoondte hain kabhi yahan kabhi wahan tak bhi
par na justaju tamam hoti hai
Tamasha dekhti hai zindagi behisi, lachari ka
uunche banglon mein jalte jhoomeron
doobi jhonpadi pe andheri raaton ka
Uthete qehqahon, doobti aahon ka
Aadat daal li bachon ne raasta tatolne ki
Andhere mein zindagi tolne, jeene ki
Kabhi paseene mein doobi kitabein thame hain
kahin khilone andhere mein khoye hain
Ahista ahista dolti, kirahti, sisakti zindagi
ruukhi, pheeki, tadapti, kasakti zindagi
Aisa tau nahi keh chaha chaand ya taaron ko
Maanga tau bas apna noore ashiane hai
No comments:
Post a Comment