Copyright Policy

Saturday 6 September 2008

Puuray tum ho, Puurii mein hun


Aik tumhara mausam
Aik hai mera
Par aik hi din mein
Kitne badlein hai
Khushk, khali, barfani, jhulsaate
Hamaare, tumhaare
Yeh saare mausam

Aik lams jo garm talwaar pher deta hai
Aik lams jo dil tak sard kerdeta hai
Aik aankh jo rooh bhi kheench leti hai
Aik aankh jo itna tanha karti hai
Aik lams tumhara
Aik hai mera
Hammare, tumhaare
Yeh saare lams

Aik ehsaas, jo sab deta hai
Aik ehsaas, jo sab leta hai
Aik dhadkan, jo sun nahi paati
Aik dhadkan, jo keh nahi paati
Aik tumhaari
Aik hai meri
Yeh adhi, puri dhadkan


Hamaare tumhaare
Yeh saare mausam
Aik hi mausam
Yeh lams, yeh aankh
Yeh ehsaas,yeh dhadkan
Puuray tum ho
Puurii mein hun

2 comments:

SATYAANVESHI said...

Hi! Delighted to know that my blog is not just a personal compendium of my favorite Ghazals, people actually do read it :)

Ji, bahut hi umda likhtin hein aap!

sabba said...

Thank you Satyaanvehsi :-)

Your collection is a treasure indeed. U shd be proud of it. Thank you for reading what I have on mine. I must make time some day to update it :-)