Dil ke konay mein kya baitha hai koi chupke se
Na hai laghzish, na hai jumbish, na hi saya hai koi
Khamoshi ka intizaar karti hai par aahat uski
Dabi dabi si leher, phailti jaati hai phir uski
Kabhi dhundlake mein rok leti hai kadam
Yaklakht saya sa jaise gher leta hai koi
Dagmagati hui jaan sambhalti hai phir mushkil se
Ruuh ki kheech jaati hai badi mushkilon se phir
Ladhkharahat kyun hai, kapkapi kyun hai, jaan jaati kyun hai