Bohot toote huon ko judne mein thoda waqt lagta hai
Nahi aasaan, hai yeh mushkil, behad kathin, bada dobhar
bohot bikhrey hote hain kaanch, bohot katati hain unglian
bohot se ched hote hain, jo bharte ummer lagti hai
kayee raste sametne hote hain, phir unmein khadde bhi hote hain
Kahin khaiee bhi aati hai, kahin pahadh milte hain
Phir sehra umad aate hain, jhulsaane, pighlaane walay
Phir darya bhi jalte hain paas, banjar, khaakh karne walay
Phir woh dil ka safar kayee manzilon ke paar chupa hua
Na raaste kabhi mil paye, na jhalak hi dikh paye
Aik ehsaas ki dor se juda, ho jiska sira madham madham
Aik khayal se atta, jo jamma ho dehka dehka
Phir bhi hosake tau aao, agar yeh sab seh pao
Hosake tau ao, agar chah tab talak jipaye
No comments:
Post a Comment