Copyright Policy

Sunday 18 October 2009

Woh...

Woh...


Woh jis ke shaane pe sar rakh ke ghanton rona aata tha

Jo bojhal dil, pathar aankhein, sard saansein jee uthata tha

Woh jis ke haath tedha collar sidha kartey thay

Geele baal sukhaatey, unhein sanwartay thay

Phir un mein unglian pher ke sulatay thay

Who jo raaton ko daraune sapnon ko bhagata tha

Rone ke peeche kya tha sabab jaanta tha

Phool barsaata, saath chalta, haath thamta tha

Maathe pe bosa karta, ruuh mein bahar laata tha

Aise muskarata ke sab kuch bhula hi jaata tha

Jeena kya hai marte marte sikha jaata tha

Kho gaya, khatam hua, doob gaya, khak hua

No comments: