Copyright Policy

Thursday 12 November 2009

Ahista Ahista

Mitt'ti ja rahi hai jaan tumhari, ahista ahista
Gard udd rahi hai, pair dhans rahe hain
Ruuh kheenchi bhi jachuki
Dhadhkan saakit bhi hochuki
Par kuch hai abhi baaki
Keh chalta hai waqt ahista
Keh azziatt ka kaam hain kheenchana
Keh dard ka maksad hai todna
Keh jab tak na nikle damm, ranj rehta hai
Keh jab tak na nikle jaan, soz badhta hai

Bohot hua tau aik lamha phir dejaana
Aik jhalak, aik lams, aik saaya sa dejaana
Safar hoga lamba, hai aag sa bhi ik darya
Woh jhalak saath chali tau bepayan na hoga
Woh lams thaam ke katwaiee gi mera safar
Woh saaya dhaanp ke rakhe ka har pal
Na karna der itni ke saakit ho jaye
Jaane bina phir jaan tumhari reh jaye
Na karna der itni ke bemarham reh jaye
Marhamgar si woh jaan tumhari yuunhi teher jaye

No comments: