Copyright Policy

Thursday 12 November 2009

Na hua par na hua

Woh gallian theen, woh raahein thi apni
Gulon mein dhaki chatt, os se atti ghas
Na hua par na hua kuch apna, na sahi
Woh subhein aateen theen dheere
Motia ki mehek, girti padti kirnein
Na hua par na hua kuch apna, na sahi
Woh dupeherein, jo lambi ummer talak na katte
Saroo ki sargoshi, amrood ki chilti shaakh
Na hua par na hua kuch apna, na sahi
Woh shaamein, dhalta sooraj , kheera aankhein
Duur talak jaati parindoon ke uunchi dorein
Na hua par na hua kuch apna, na sahi
Woh raatein, kabhi tapish aatish ki, aur moongphali
Ya phir chaand aur sargoshi hawa ki
Na hua par na hua kuch apna, na sahi

No comments: