Copyright Policy

Saturday 5 March 2011

Aik taar

Aik taar dikkha tau hai yahan
Thoda uljha, thoda simta
Kuch baikal, kuch dabbka sa
Dekho tau phisal, jhijak jaye
Chuo tau lippat, simmat jaye
Halka, maheen, kirnon jaisa
Shafaaf, mulayam hawaoon jaisa
Narm, garam muskurahaton sa
Hai par kuch zabt lohe jaisi
Aatish ki tapish, chamak sholey si
Hai par kuch saddiyon ki kashish
Pehchaan barson ki
Unsiiyat lambi umron si
Apna se milan, wasal janmon sa
Dhadhkan manoos, saans hamraaz si
Keh hai aik taar, aik taar hai tau yahin

(Feb 2011)

No comments: