Copyright Policy

Saturday 5 March 2011

Jo roz guzarta hai

Puraane darwaaze ka kiwaad
Adh khula dekh kar aik jhonka
Kuch dhool udda gaya
Unn aankhon mein
Jo aagey hi khusk hochuki hain
Aur khuli khirki ke jharoke se lipti hawa
Pehle se bikhri zulfon ko
Kuch aur uljha gayee
Khaali aankhein, bikhre gaisoo
Khushk hont, saakit nigah
Aur intizaar jo roz guzarta hai
Puraane darwaaze ke udd khule kiwaadon se
Aur intizaar jo roz milta hai
Khuli khirki ke toote jharokon se

2 comments:

Betuke Khyal said...

very nice !

teri zulfon ko chhedti thi sabaa,
khud pareshan ho gayi hai ...

sabba said...

Thanks so much Ashwini :-)