Copyright Policy

Saturday 1 May 2010

Ke ayee hai barish phir kuch is tarah se

Ke ayee hai barish phir kuch is tarah se
Ruuh pe gire hain qatre
Bheega hai dil bhi phir se
Patte udey naye purane
tooteen theen jinke bojh se shakhein
Ke ayee hai barish phir kuch is tarah se
Hawa bhi khanjar sa hai thamay
Ke jaise ghao bhar se gaya ho
Ukhadte pair phir bhi kuch hain chalte
dawa bhi zeher si jaise hai samayee
Ke ayee hai barish phir kuch is tarah se
Hua hai aasman kuch ziada gehra
Hain badal bhi aur surmaee
Goonjti hai sunsanahat phir ziada
ke jaise khamoshi toot gaye ho
Ke ayee hai barish phir kuch is tarah se

No comments: